Ahmad Bilal احمد بلال

[ Home | Resume | Technology | Writings | Art | Music | Guestbook ]

Subh-e-Jamhooriat

Wohi hai sab yahan wahan
Koi kaheen nia nahee
Na roti kapra na makan
Kisi ko kuch mila nahee
Dard aur mayoosiyaan
Ye wo naee subha nahee

Keh jiss kee aas mein jiye
Meray tumharay loge thay
Keh jiss ke khwab mein lagay
Dil ko kia kia roge thay

Tumharay baap dada bhee
Sahib-e-iqtidar thay
Iss qoum ke ghareeb awam
Un pe bhee nisaar thay
Aur un ke paas bhee sirf
Yeh qoul aur qarar thay

Toota hai aitbaar jo
Mazdoor aur kisaan ka
Ab yaqeen nahi raha
Kisi bhee insaan ka

Daro wo waqt hai qareeb
Khuda kee kainaat mein
Uthay ga jab har ghareeb
Haq kee sifaat mein
Aaj hai jo badnaseeb
Naseeb lay ga haath mein

Girain ge takht-o-taaj sab
Jo zulmaton ke hain nishaan
Woh sab karain ge raaj tab
Jo sab haqeer hain yahan


Kuch Tou Honay Ko Hai

Kuch tou honay ko hai
Zameen kee dharkan batati hai
Kuch tou honay ko hai
Aasman kee surkhi kehti hai
Keh kuch tou honay ko hai
Honay ko hai...

Tapti zameen ke qaleen pay
Nach raha hai har dehqaan
Zulm kee zalim dhoop talay
Kab tak rahay ga ye raqsaan

Tou kuch tou honay ko hai
Honay ko hai...

Pighlay aahan kee tapish
Har mazdoor ka chehra jalaye
Do waqt roti kee kashish
Kaisa ye khail khilaye

Tou kuch tou honay ko hai
Honay ko hai...

Khud se apna he ghar jo jalay
Kaheen koi na kisi ka rahay
Sab zinda lashon pe hain palay
Zulm ke yeh sab silsilay

Tou kuch tou honay ko hai
Honay ko hai...

Jab har ik ka apna khuda ho
Jo doosron se khafa ho
Insaniyat dil se juda ho
Kamzori ka mout sila ho

Tou kuch tou honay ko hai
Honay ko hai...

Tareekh batati hai hum ko
Taqdeer bulati hai hum ko
Keh kuch tou honay ko hai
Honay ko hai...


رات

درد ابھی رکا نہیں
رات ابھی ڈھلی نہیں
لہو کے رنگ میں رنگی
زمیں ابھی دھلی نہیں
کیا ہوۓ وہ ہم وطن
وہ ہم زباں وہ ہم قدم
چلے تھے کیا سوچ کر
نئ صبح کی راہ پر
وہ جسم خاک کیوں ہوۓ
وہ خواب ایسے کیوں مٹے
پر آس ابھی مٹی نہیں
وہ پیاس ابھی بجھی نہیں
کہ بجھ جاۓ گی آگ یہ
ڈھل جاۓ گی رات یہ


کبھی ختم ہوں یہ سلسلے

کبھی عصر حاظر سے آشنا
کبھی جسم و جان سے ماورا
کبھی جلوہ گر ہیں تیری صفات
کبھی اپنی ذات میں کائنات
کبھی سنگ راہ ہے آسماں
کبھی ریزہ ریزہ دھواں دھواں
کبھی مضطرب ہے مرا جنوں
کبھی روح میں ہے امر سکوں
کبھی منتظر ہے ہر ایک راہ
کبھی اجنبی ہے تیری نگاہ
کبھی راز یہ مجھ پر کھلے
کبھی ختم ہوں یہ سلسلے


کچھ اور نہیں تو
اک بھولی بسری داستاں ہی سہی
کوئی دور دراز کی کہکشاں ہی سہی
کسی ادھورے خواب کی طرح
صحرا میں کسی سراب کی طرح
دھوپ میں کوئی سائباں ہی سہی


ZARD PATTON KA MOSAM

Zard patton ka mosam gya
Sadion mein dhalti shaamon ka
Bheegi raaton ka mosam gya
Sard saanson mein hiddat kahan
Ab tou ankhain bhee purnam nahi
Jahan khushian theen raqsaan kabhi
Ab wahan koi gham bhee nahi
Dil kee sargoshion mein kaheen
Aahatain sehmi sehmi raheen
Jin ko raahon mein khho tha diya
Ab kiun daitay ho un ko sada
Phir se dhalti hai koi shaam
Jaisay ho khwahish-e-natamaam
Phir se kehti hai ab yeh hawa
Zard pattoun ka mosam gya
Bheegi raaton ka mosam gya
 


ISS BEKHUDI KE ZOUQ MEIN

Khamoshi raqsaan rahee be-naam raah-e-shouq mein
Aahatain bhee khho gaeen iss bekhudi ke zouq mein

Tashna lab ko kia ho sohbat aql kee zanjeer se
Har zehar ko pee gaye iss bekhudi ke zouq mein

Tujh se woh keh na sakay jo baat kehni hum ko thee
Kehna na tha jo keh dia iss bekhudi ke zouq mein

Deewar-o-dar larzaan huay dil mein jab dastak hui
Qufl woh khul na sakay iss bekhudi ke zouq mein

Hum ko chalna hai sada hum ko kisi se kia gila
Koee chalay ya na chalay iss bekhudi ke zouq mein

Khud ko khhoya tou kia paya tu ne ae bechaein dil
Bekhudi bhee na rahee iss bekhudi ke zouq mein
 


JAB KABHI MADHAM SEE SHAMO MEIN...

Jab kabhi madham see shaamo mein jalay koi chiragh
Zeest ke andher mein mil jaye hasti ka suraagh

Kis tarah un se chupay zamkhmo kee woh tehreer ab
Jiss jagah marham lagay ban jaye bas aik aur daagh

Bandhain ab rakht-e-safar benaam raahon per chalain
Sehra banay gulshan yahan veeran hua har aik baagh
 


TAVEEL RAATEIN

Inn taveel raaton mein
Qurbaton kee yaadon mein
Dil udaas ho jaye
Aankh phir yun bhar aye
Jaise raat jalti ho
Wo barf bhee pighalti ho
Jiss barf ne sochon mein
Dera jamaya sadiyon se
Sang-e-marmar kee shabeeh
Aankh pur-num hee saheeh
Dil hai pathar mein dhala
Jazbon se hum ko kia mila
Be-khwab aankhon mein
Tanhai kee mehfil mein
Neend phhir utar aye
Raat phhir se dhall jaye
Nayee subah se pehle
Dil hamara bhee behle
Kuch adhooray khwabon se
Guzray dino kee yaadon se
 


TUM SE KAISAY KAHAIN

Tum se kaisay kahain
Kiun na hum chup rahain
Ab na hum woh rahay
Ab na tum woh rahay
Ab na raatain hain woh
Ab na baatain hain woh

Raastay hain juda
Kis ko kia hai mila
Phir ye bebas bashar
Tum ko kia day sila
Zakhm per zakhm hai
Hosla khatm hai
Ansoo kiun na bahain
Tum se kaisay kahain...

Surkh hai aasmaan
Tapti hai yeh zameen
Haath mein insaan ke
Ab to kuch bhee naheen
Bikhray sansaar mein
Biktay bazaar mein
Kaisay dukh yeh sahain
Tum se kaisay kahain...

Maut ka raaz hai
Zindagi saaz hai
Aik anjaam hai
Aik aghaaz hai
Bas gharee do gharee
Kuch pehar hee sahee
Chand lamhay rahain
Tum se kaisay kahain...

Kiun na hum chup rahain
Tum se kaisay kahain...
 


Soee khwahish hai
Kaisi yeh rawish hai
Ankhon mein tapish hai
Manzil kee kashish hai

Beeti yaaadain raheen
Lamha lamha kateen
Raatain…

Tanha musafir hai
Khwabon kee lehr hai
Sooni har dagar hai
Jalta hua ghar hai

Raahon mein kaheen
Bhar na aaein yunheen
Aankhain…


SAYE

Bikhartay huay
Sambhaltay huay
Khamoshion mein
Laraztay huay

Khwabon kee rah mein
Raat kee panah mein
Woh saye jaltay rahay
Soch mein uljhay huay